Tuesday, February 14, 2006

Saaransh...

Hamne ye soch hai, ab khus rahna hai.
Chahe jo ho julm-o-sitam, khus rahna hai..

Duniya waalo ki neeyat pe, kaste the jo fikare kai.
Unki wafa bhi dekh li, ab khus rahna hai..

Kahte the hamse tum hi ho apne, jaan se jyada payare the sapne.
Ab jaakar ke need khuli, khus rahna hai..

Unki wafayein, unki jafayein, yaad dilaati unki adaayein.
Kar daala hai khoon-e-jigar, ab khus rahna hai..

Naya sabera kab aayega, kya khoya hai kya paayega.
Jhod tod sab chhod di, ab khus rahna hai...


varun mishra "ask".
12/02/06